Friday, June 4, 2010

Apan hissa shumar karta tha,,,
Mujhse itna woh pyar kerta tha,,,
Woh banata tha meri tasveerain,
Unse bataen hazaar karta tha,,,
Mera dukh bhi khuloos-e-niyat se,,,
...Apna dukh he shumar karta tha,,,

Such samajhta tha jhoot bhi mera,,,
Yun mera aitbaar karta tha,,,
Pehle rakhta tha phool rastay main,,,
Phir mera intazaar karta tha,,,,,
Aaj pehlu main woh nahi !......
Jo mujh pe jaan nisaar karta tha......
Is haseen raat say niklay to bikher jayen gay......
Hm teri zaat say niklay to bikher jayen gay........
Bohut aadat hai is dil ko tmharay sath chalnay ki........
Yeh hath hath say niklay to bikher jayen gay........
Ek muddat say teri kahani k unwan rahay hain.......
...Ub is riwayat say niklay to bikher jayen gay........
Hamian din raat socho tm bs itni si khawish hai..........
Teray khayalat say niklay to bikher jayen gay..........
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ik roshni andheroN mein bikhra gaya koi

wo haadsa wo pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon
wo kehar wo gazab wo jafa muJko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai
mittha nahin hai zehan pe yoon chaa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

pehle muJhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee
bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya
saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi

yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya
ik pal meiN dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi
zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
Tum ho to sab silsile achhe lagte hai,
Mujhe tumhari dosti ke gile achhe lagte hai.
Bahot door tak jaana magar laut ana,
Mujhe tum se tumhi tak fasle achhe lagte hai..
duniya mein huN duniya ka talabgaar nahi huN
baazaar se guzara huN Kharidaar nahin huN
zinda huN magar zist ki lazzat nahin baaqi
har chand ki huN hosh mein hoshiyaar nahin huN
is Khaanaa-e-hasti se guzar jauNga belaus
...saaya huN faqat naqsh-e-divaar nahin huN
afsurda huN ibarat se davaa ki nahin hajat
Gam ka mujhe ye zauf hai bimaar nahin huN
vo gul huN KhizaN ne jise barbaad kiya hai
uljhuN kisi daaman se main vo Khaar nahin huN
yaarab mujhe mahafus rakh us but ke sitam se
main us ki inaayat ka talabgaar nahin huN
afsurdagi-o-jaur ki kuch had nahin "baqi"
kaafir ke muqaabil mein bhi deen_daar nahiN huN.
Mareez-e-muhabbat,unhee ka fasaana,
sunaata raha dam nikalte nikalte...
...magar zikr-e-shaam-e-alam jab k aya,
chiraag-e-sahar bujh gaya jalte jalte.......

Iraada tha talqi, muhabbat ka lekin,
fareb-e-tabbassum pe phir aa gaye hum...
abhi kha k thoker sambhalne na paye...
k phir khaayi thoker sambhalte sambhalte....

aray koi waada khilaafi ki hadd hai,
hisaaaab apne dil mein lagaker to dekho...
qayaamat ka din aa gaya rafta rafta...
mulaaqaat ka din badalte badalte...

Unhain khat mein likha k,dil muztarib hai...
jawaab unka aya, muhabbat na kerte..
tumhein dil lagaane ko kisne kaha tha..
bahal jayega dill bahelte bahelte...

humein apne dil ki to parwaah nahi hai,
magar dar raha hoon ye kamsin ki zidd hai...
kaheen paon nazuk mein moch aa na jaye,
dil-e-sakht jaan ko masalte masalte..

wo mehmaan hamaare,hue bhi to kab tak,
hui shamma gul aur na doobe sitaare...
Are kiss kadar unko jaldi thi ghar ki,
wo ghar chal diye chandni dhalte dhalte..
Ha'nsne nahee'n deta kabhi rone nahee'n deta...

Yeh dil to koi kaam bhi hone nahee'n deta....

Tu maa'ng raha hai mere dil se meri khuwaahish...
...
Bacha to kabhi apne khilone nahee'n deta...!!